Contents
RRB NTPC Fee Refund 2021 :- Hello Friends, Yadi aap RRB NTPC Recruitment 2021 ke liye Application form fill up kar chuke hai, Aur iske Exam me shamil ho chuke hai, To aap jante honge ki Railway Recruitment Board (RRB) ne NTPC Fee Refund ka faisla liya hai. RRB sabhi candidates ke Bank Account Number par NTPC Fee Refund kar raha hai. RRB NTPC Fee Refund ke liye aapko online Apply karna hoga, Jiski sabhi jaankari is article me share ki gayi hai.
Railway Recruitment Board (RRB) ne NTPC Fee Refund ke liye online Apply shuru kar diya hai. Sabhi eligible candidates 11th August – 31st August 2021 tak online apply kar apne Bank Account ka details de sakte hai. RRB NTPC Fee Refund apply karne ke liye aap apne Registration number & Date of Birth ka upyog kar sakte hai. RRB NTPC Fee Refund 2021 ke liye online Apply kaise karna hai, Iske bare me niche bataya gaya hai.
RRB NTPC Fee Refund 2021
Railway Recruitment Board ne non-technical popular categories ke vacancy post ke liye notification release kiya tha. Jiske bad pure India se lakho candidates ne RRB NTPC Recruitment 2021 ke liye application form fill up kiya tha. RRB ne NTPC ka Written Exam 28 December 2020 se 31 July 2021 tak conduct kiya tha. Ab jo bhi candidates is exam me shamil huye hai, Un sabhi ka NTPC Application Form Fee refund kar diya jayega.
RRB NTPC Examination Fee Refund karne ke liye aapko 11th August 2021 – 31st August 2021 tak online application form fill up karna hoga. Aap sabhi candidates ko Fee refund ke liye apne working Bank Account Number update karna hoga.
RRB NTPC Fee Refund 2021- Overview
Organization name | Railway Recruitment Board [RRB] |
Post name | NTPC CEN 01/2019 |
Job location | All over India |
Exam date | 28 Dec 2020 – 31 July 2021 |
Fee Refund Date | 11 Aug 2021 – 31 Aug 2021 |
Apply Mode | Online |
Official website | rrbntpc.onlinereg.in |
RRB NTPC Fee Refund Bank Account Update
Yadi aap bhi RRB NTPC Exam me shamil ho chuke hai, To aap bhi Fee Refund ke liye online Apply kar sakte hai. Lekin usse pahle yadi aapke pichle 2 Saal me aapke Bank Account me koi bhi change hua hai, To use update jarur kare.
NOTE :- रेलवे फीस रिफंड के लिए ऑनलाइन आवेदन करते समय अपनी बैंक की जानकारी सही से भरे | अगर आपने कोई भी जानकारी गलत दे दिया तो आपका फीस वापस नहीं होगा और इसके लिए RRB जिम्मेदार नहीं होगा इसलिए सभी जानकारी को ध्यान से भरे | इसके अलावा ऐसे अभ्यर्थी जो RRB NTPC की परीक्षा नहीं दिया है उनका फीस रिफंड नहीं होगा |
RRB NTPC Fee Refund Amount 2021
Category | Fee Refund |
Female | Rs.250/- |
PWD | Rs.250/- |
SC | Rs.250/- |
ST | Rs.250/- |
Ex-Serviceman | Rs.250/- |
Others | Rs.400/- |
How To Apply Online For RRB NTPC Fee Refund 2021?
RRB NTPC Fee Refund 2019-21 ke liye Apply karna chahte hai, To aap niche diye gaye Steps follow kar sakte hai :-
- RRB ke official website @rrbntpc.onlinereg.in par visit kare.
- Iske home page par “Notification” section par click kare.
- Aur vaha se “RRB NTPC Fee Refund CEN No. 01/2019(NTPC)” ke link par click kare.
- Ab aap apna Application Number & Date of Birth enter kare.
- Login button par click kare.
- Iske agle page par mange gaye Details enter kare.
- Is prkar aapka Fee aapke Bank Account me refund kar diya jayega.
Important Direct Links
RRB NTPC Fee Refund 2021 | Click Here For Apply |
RRB Official Website | Click Here |
RRB NTPC Fee Refund 2021 ke liye online Apply upar bataye gaye tarike ke anusar kar sakte hai. Hamne yaha iski puri jankari share kiya hai. Aap sabhi is prkar Fee Refund prapt kar sakte hai. Yadi aapko abhi bhi isse related koi saval puchna hai, To aap niche comment box me apna saval puch sakte hai.